الاثنين، 1 يوليو 2013

Bismillah-Hir Rahman-Nir Rahim

‏‎Peacetv: A Call Towards Islam‎‏ من قبل ‏‎Koki Noor‎‏.
Bismillah-Hir Rahman-Nir Rahim

Hadith: Tum mein se pahley ke log isliye halak ho gaye ki wo kamzoron par to had ( Saza) Qayam kartey they aur Buland martaba logo ko chod dete they

Al Quran : Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho , Allah ki taraf gawahii do , chahey Apni jaano par ho ya Apney Maan Baap aur rishteydaron par , chahey koi Maaldaar ho ya faqeer , Allah inka tumse ziyada khair khwah hai.

Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Usama Radi Allahu Anhu ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se ek aurat ki sifarish ki ( jisney chori ki thi) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se pahley ke log isliye halak ho gaye ki wo kamzoron par to had ( Saza) Qayam kartey they aur Buland martaba logo ko chod dete they us zaat ki Qasam jiskey haath mein meri jaan hai agar Fatima Radi Allahu Anha ne bhi chori ki hoti to main uska bhi haath kaat leta
Sahih Bukhari, Vol 8, 6787

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anhu : Usama Radi Allahu Anhu approached the Prophet on behalf of a woman (who had committed theft). The Prophet said, "The people before you were destroyed because they used to inflict the legal punishments on the poor and forgive the rich. By Him in Whose Hand my soul is! If Fatima (the daughter of the Prophet ) did that (i.e. stole), I would cut off her hand."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 81, # 778

Al Quran : O you who believe! Stand out firmly for justice, as witnesses to Allah, even though it be against yourselves, or your parents, or your kin, be he rich or poor, Allah is a Better Protector to both (than you).
Al Quran An-Nisa, Chapter #4, Verse #135

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق