الأحد، 24 يوليو 2016

Bismillah Hir Rahman Nir Rahim


Unofficial: Peacetv: A Solution For Humanity
Bismillah Hir Rahman Nir Rahim
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke ruku , Sajda , ruku se sir uthaney ke baad ka waqt aur dono Sajdo ke darmiyan baithney ka waqt barabar hota tha
Zaid binWahb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudhaifa bin yaman Radi Allahu Anhu ne ek shakh ko dekha ki na rukooo puri tarah karta hai aur na sajda, isliye Aapney us sey kaha ki tumney namaz hi nahi padi aur agar tum mar gaye to tumhari maut us sunnat (ya Deen) par nahi hogi jis par Allah subhanahu ne Muhamaad Sallallahu Alaihi Wasallam ko paida kiya tha
Sahih Bukhari, Vol1, 791
Al Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke ruku , Sajda , ruku se sir uthaney ke baad ka waqt aur dono Sajdo ke darmiyan baithney ka waqt barabar hota tha
Sahih Bukhari, Vol1, 801
Abdullah ibn Abbas radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam Do sajdo ke darmiyan ye dua padte they
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي
Allahumma Aghfirli, wa Arhamni , wa Aafini, Wa Ahdini, wa Arzuqni
(Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Aafiyat de aur mujhe Hidayat de aur mujhe Rizq ata farma)
Sunan Abu Dawud, Vol 1 , 842–Hasan
Narrated Zaid binWahb: Hudhaifa bin yaman Radi Allahu Anhu saw a person who was not performing the bowing and prostrations perfectly. He said to him, "You have not prayed and if you should die, you would die on a religion other than that of muhammad."
Sahih Bukhari, Book #12, Hadith #757
Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu The bowing, the prostrations, the period of standing after bowing and the interval between the two prostrations of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to be equal in duration .
Sahih Bukhari, Vol. 1, Book 12, Hadith 766
Narrated Abdullah ibn Abbas radi allaho anhuma: The Prophet peace_be_upon_him used to say between the two prostrations ( Suzud) :
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي
O Allah, forgive me and have mercy on me and heal me and guide me and provide (Rizq) for me.
Sunan Abu dawud, Book 3, Number 0849-Hasan"

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق