السبت، 28 يناير 2017

✦ Hadith : Do aadatein aisee hain ki agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega

💐Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuh💐
✦ Hadith : Do aadatein aisee hain ki agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega
------------------------------
✦ Abdullah bin Amr Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya do aadatein aisee hain ki
agar koi musalman isko ikhtiyar kar le to wo jannat mein jayega wo dono aasan hain magar us par amal karne wale bahut kam hain, pahli 
ye ki har namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , ravi kahte hain ki maine Rasool-
Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo zuban par 150 (Yani 5 waqt ki namaz
ke baad 5x10=150) aur meezan par 1500 hain
✦ Dusri aadat ye bayan farmayee ki jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu
Akbar kaho.ye zuban poar to 100 hain magar meezan par 1000 hain.Aap Sal-Alalahu alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se kaun hain jo
din raat mein 2500 buraeeya karta hai? (kyunki neki burayee ko mita deti hai)
✦ Sahaba Radi allahu anhu ne farmaya hum kaise iska khayal nahi rakhenge , to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum namaz
mein hote ho to shaitan tumhare pass aata hai aur kahta hai ki falah cheez yaad karo,falah cheez yaad karo, yahan tak ki wo (banda)
namaz se farig ho jata hai aur us ko nahi karta , aur isse tarah jab koi sone ke liye bistar par jata hai to shaitan waha bhi aa jata
hai aur usko sulata rahta hai yahan tak ki wo so jata hai
Jamia Tirmizi,Jild 2,1335-Hasan
------------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”دو عادتیں ایسی ہیں جنہیں جو بھی مسلمان پابندی اور پختگی سے اپنائے رہے گا وہ جنت میں جائے گا، دھیان سے سن لو، دونوں آسان ہیں مگر ان پر عمل کرنے والے تھوڑے ہیں، ہر نماز کے بعد دس بار اللہ کی
تسبیح کرے (سبحان اللہ کہے) دس بار حمد بیان کرے (الحمدللہ کہے) اور دس بار اللہ کی بڑائی بیان کرے (اللہ اکبر کہے) ۔ عبداللہ بن عمرو رضی الله عنہما کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو انہیں اپنی انگلیوں پر شمار کرتے ہوئے دیکھا ہے،
آپ نے فرمایا: ”یہ تو زبان سے گننے میں ڈیڑھ سو ۱؎ ہوئے لیکن یہ (دس گنا بڑھ کر) میزان میں ڈیڑھ ہزار ہو جائیں گے۔ (یہ ایک خصلت و عادت ہوئی)
اور (دوسری خصلت و عادت یہ ہے کہ) جب تم بستر پر سونے جاؤ تو سو بار سبحان اللہ، اللہ اکبر اور الحمدللہ کہو، یہ زبان سے کہنے میں تو سو ہیں لیکن میزان میں ہزار ہیں، (اب بتاؤ) کون ہے تم میں جو دن و رات ڈھائی ہزار گناہ کرتا ہو؟ لوگوں نے کہا: ہم
اسے ہمیشہ اور پابندی کے ساتھ کیوں نہیں کر سکیں گے؟ آپ نے فرمایا: ”(اس وجہ سے) کہ تم میں سے کوئی نماز پڑھ رہا ہوتا ہے، شیطان اس کے پاس آتا ہے اور اس سے کہتا ہے: فلاں بات کو یاد کرو، فلاں چیز کو سوچ لو، یہاں تک کہ وہ اس کی توجہ
اصل کام سے ہٹا دیتا ہے، تاکہ وہ اسے نہ کر سکے، ایسے ہی آدمی اپنے بستر پر ہوتا ہے اور شیطان آ کر اسے (تھپکیاں دیدے کر) سلاتا رہتا ہے یہاں تک کہ وہ (بغیر تسبیحات پڑھے) سو جاتا ہے ------------------------
جامع ترمزی جلد ٢ - ١٣٣٥ حسن

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق