الأحد، 30 ديسمبر 2018

Sir ke kuch hisse ke Baal (hair) mundhne aur kuch chod dena mana hai

‏‎Peace-Islam: A Solution For Humanity‎‏ مع ‏‎Abdur Rehman Majeed‎‏ و‏‎Abu Mus'ab Abdullah‎‏.
Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu;
Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Mafhum-e-Hadith:Sir ke kuch hisse ke Baal (hair) mundhne aur kuch chod dena mana hai
Abdullah) bin `Umar radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne Qaza (yani sir ke kuch hisse ke
Baal (hair) mundhne aur kuch chod dena) se mana farmaya hai .
{Sahih al-Bukhari: Vol.7, 5921}
Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey Hazrat Anas se Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke baalon ke baarey mein pucha to kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke baal darmiyana they na bilkul seedhey na ghunghriyaley (curley) aur wo kaano aur kandhon (shoulder) ke beech tak they
{Sahih Bukhari, Vol.7,5905}
----------------------------------
English translation
Narrated (Abdullah) bin `Umar:Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam forbade Al-Qaza' (leaving a tuft of hair here and there after shaving one's head.)
{Sahih al-Bukhari : Vol. 7, Book 72, Hadith 804}
Narrated Qatada Radi Allahu Anhu : l asked Anas bin Malik Radi Allahu Anhu about the hair of Prophet sallallahu alaihi wasallam . He said, "The hair of Prophet peace be upon him was neither much straight, nor much curly, and it used to hang down till between his shoulders and his earlobes.
{Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 791}

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق